baat mehndi se lahu tak aa gai
baat mehñdī se lahū tak aa ga.ī
guftugū ab tum se tū tak aa ga.ī
ab vo shaġhl-e-chāk-dāmānī kahāñ
ab tabī.at to rafū tak aa ga.ī
jaan jaa.e yaar hai ab Dar nahīñ
baat apnī aabrū tak aa ga.ī
aarzū thī jis ko paane kī hameñ
justujū us aarzū tak aa ga.ī
buuTe buuTe se numāyāñ hai bahār
Daalī Daalī rañg-o-bū tak aa ga.ī
vasl kī shab aur itnī muḳhtasar
bātoñ bātoñ meñ vuzū tak aa ga.ī
baat mehndi se lahu tak aa gai
guftugu ab tum se tu tak aa gai
ab wo shaghl-e-chaak-damani kahan
ab tabiat to rafu tak aa gai
jaan jae yar hai ab Dar nahin
baat apni aabru tak aa gai
aarzu thi jis ko pane ki hamein
justuju us aarzu tak aa gai
buTe buTe se numayan hai bahaar
Dali Dali rang-o-bu tak aa gai
wasl ki shab aur itni muKHtasar
baaton baaton mein wuzu tak aa gai
- Book : Nawa-e-harf-e-khamoosh (Pg. 191)
- Author : Zafar Kaleem
- Publication : Zafar Kaleem (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.