baat meri zindagi aur maut ki hai
baat merī zindagī aur maut kī hai
aap kā kyā kah diyā bas dostī hai
peḌ parvat jhiil jharne phuul ḳhushbū
sab tumhāre husn kī kārīgarī hai
jism hai gar āḳhirī manzil tumhārī
ishq kahte ho jise āvārgī hai
pahle bhī ham dil kisī ko de chuke haiñ
pahle bhī ham kah chuke haiñ āḳhirī hai
baat meri zindagi aur maut ki hai
aap ka kya kah diya bas dosti hai
peD parwat jhil jharne phul KHushbu
sab tumhaare husn ki karigari hai
jism hai gar aaKHiri manzil tumhaari
ishq kahte ho jise aawargi hai
pahle bhi hum dil kisi ko de chuke hain
pahle bhi hum kah chuke hain aaKHiri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.