baat qismat ki to kuchh ai dil-e-nakaam nahin
baat qismat kī to kuchh ai dil-e-nākām nahīñ
apnī taqsīr hai ye gardish-e-ayyām nahīñ
ai masīhā kabhī tū bhī to use dekhne aa
tere bīmār ko sunte haiñ ki ārām nahīñ
ek vo jin ke tasarruf meñ haiñ sab mai-ḳhāne
ek ham jin ke liye durd-e-tah-e-jām nahīñ
mujh ko ye ġham ki unheñ dekhne vaale haiñ bahut
un ko shikva ki yahāñ zauq-e-nazar aam nahīñ
safar-e-ishq mubārak ho ki is meñ 'kausar'
ġham-e-āġhāz nahīñ ḳhatra-e-anjām nahīñ
baat qismat ki to kuchh ai dil-e-nakaam nahin
apni taqsir hai ye gardish-e-ayyam nahin
ai masiha kabhi tu bhi to use dekhne aa
tere bimar ko sunte hain ki aaram nahin
ek wo jin ke tasarruf mein hain sab mai-KHane
ek hum jin ke liye durd-e-tah-e-jam nahin
mujh ko ye gham ki unhen dekhne wale hain bahut
un ko shikwa ki yahan zauq-e-nazar aam nahin
safar-e-ishq mubarak ho ki is mein 'kausar'
gham-e-aghaz nahin KHatra-e-anjam nahin
- Book : mata-e-sukhan (Pg. 241)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.