baat ruk ruk kar baDhi phir hichkiyon mein aa gai
baat ruk ruk kar baḌhī phir hichkiyoñ meñ aa ga.ī
phone par jo ho na paa.ī chiTThiyoñ meñ aa ga.ī
sub.h do ḳhāmoshiyoñ ko chaa.e piite dekh kar
gungunī sī dhuup utrī pyāliyoñ meñ aa ga.ī
train ojhal ho ga.ī ik haath hiltā rah gayā
vaqt ruḳhsat kī udāsī chūḌiyoñ meñ aa ga.ī
adh-khilī rakhī rahī yuuñ hī vo novel god meñ
uTh ke pannoñ se kahānī siskiyoñ meñ aa ga.ī
chaar din hone ko aa.e kaal ik aayā nahīñ
chuppī mobile kī ab bechainiyoñ meñ aa ga.ī
baaT jo hai thak ga.ī chhat par khaḌī jab dopahar
shaam kī chādar lapeTe khiḌkiyoñ meñ aa ga.ī
raat ne yādoñ kī māchis se nikālī tīliyāñ
aur ik cigarette sulgī uñgliyoñ meñ aa ga.ī
baat ruk ruk kar baDhi phir hichkiyon mein aa gai
phone par jo ho na pai chiTThiyon mein aa gai
subh do KHamoshiyon ko chae pite dekh kar
gunguni si dhup utri pyaliyon mein aa gai
train ojhal ho gai ek hath hilta rah gaya
waqt ruKHsat ki udasi chuDiyon mein aa gai
adh-khili rakhi rahi yun hi wo nowel god mein
uTh ke pannon se kahani siskiyon mein aa gai
chaar din hone ko aae kal ek aaya nahin
chuppi mobile ki ab bechainiyon mein aa gai
baT jo hai thak gai chhat par khaDi jab dopahar
sham ki chadar lapeTe khiDkiyon mein aa gai
raat ne yaadon ki machis se nikali tiliyan
aur ek cigarette sulgi ungliyon mein aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.