baat sahil ki rakhe TuTa shikara dekh le
baat sāhil kī rakhe TuuTā shikārā dekh le
paas to majdhār hai kyuuñ kar kinārā dekh le
ret ke Tiile jahāñ ham ne banā.e ab vahāñ
kheltī bebāk lahroñ kā nazāra dekh le
ek titlī jism halkā bojh rañgoñ par gayā
khīñch kar har aañkh ne dil meñ utārā dekh le
dil hai jo bārūd kā ghar suukh kar tayyār hai
aab se kah do na ab koī sharārā dekh le
pīchhe pīchhe ham tire aate rahe haiñ zindagī
ik dafa muḌ kar kabhī kis ne pukārā dekh le
baat sahil ki rakhe TuTa shikara dekh le
pas to majdhaar hai kyun kar kinara dekh le
ret ke Tile jahan hum ne banae ab wahan
khelti bebak lahron ka nazara dekh le
ek titli jism halka bojh rangon par gaya
khinch kar har aankh ne dil mein utara dekh le
dil hai jo barud ka ghar sukh kar tayyar hai
aab se kah do na ab koi sharara dekh le
pichhe pichhe hum tere aate rahe hain zindagi
ek dafa muD kar kabhi kis ne pukara dekh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.