Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat tumhaari aaj tak koi hui hai kab ghalat

Mohammad Wilayatullah

baat tumhaari aaj tak koi hui hai kab ghalat

Mohammad Wilayatullah

baat tumhārī aaj tak koī huī hai kab ġhalat

tum jo kaho vo sab bajā ham jo kaheñ vo sab ġhalat

aap va.ada kal bhī thā aaj hai va.ada dūsrā

qaul-o-qarār aap jab na ġhalat na ab ġhalat

dil meñ thī maujzan ḳhushī shauq fuzūñ thā har ghaḌī

din meñ jo kuchh umiid thī ho ga.ī vaqt-e-shab ġhalat

kyuuñ na gayā payāmbar ġhair ke paas bhuul kar

aisī sunā.ī aa ke baat ho ga.ī sab tarab ġhalat

ġhair kahe vo sab durust aap kaheñ vo sab bajā

baat hamārī haq bhī ho hotī hai be-sabab ġhalat

ġhair da.ava-e-vafā kizb intihā nahīñ

aa ke sunā.ī dāstāñ ek sire se sab ġhalat

'hāfiz'-e-haq-pasand baat qadr thī kabhī

harf-e-ġhalat tarah kyuuñ ho gayā ḳhud vo ab ġhalat

baat tumhaari aaj tak koi hui hai kab ghalat

tum jo kaho wo sab baja hum jo kahen wo sab ghalat

aap ka wada kal bhi tha aaj hai wada dusra

qaul-o-qarar aap ka jab na ghalat na ab ghalat

dil mein thi maujzan KHushi shauq fuzun tha har ghaDi

din mein jo kuchh umid thi ho gai waqt-e-shab ghalat

kyun na gaya payambar ghair ke pas bhul kar

aisi sunai aa ke baat ho gai sab tarab ghalat

ghair kahe wo sab durust aap kahen wo sab baja

baat hamari haq bhi ho hoti hai be-sabab ghalat

ghair ka dawa-e-wafa kizb ki intiha nahin

aa ke sunai dastan ek sire se sab ghalat

'hafiz'-e-haq-pasand ki baat ki qadr thi kabhi

harf-e-ghalat ki tarah kyun ho gaya KHud wo ab ghalat

Source :
  • Soz-o-gudaaz
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now