baaton se sitamgar mujhe bahlata raha wo
bātoñ se sitamgar mujhe bahlātā rahā vo
milne meñ to har baar hī apnoñ sā lagā vo
kyā kyā mirī ḳhvāhish ke mazāq us ne uḌaa.e
kyā kyā nahīñ detā rahā jiine kī sazā vo
jab bhī kabhī us ne mujhe maqtal meñ sajāyā
mujh ko to bas apnā hī taraf-dār lagā vo
jis ne bhī mirā saath diyā rāh-e-vafā meñ
ik shaḳhs kī dahshat se mujhe chhoḌ gayā vo
aisā kabhī dekhā na sunā jaur kā ḳhūgar
har baar jafā kar ke bhī hotā thā ḳhafā vo
kartā thā muravvat meñ kabhī mashq-e-sitam bhī
kahtā thā mire ḳhuuñ ko kabhī rañg-e-hinā vo
baaton se sitamgar mujhe bahlata raha wo
milne mein to har bar hi apnon sa laga wo
kya kya meri KHwahish ke mazaq us ne uDae
kya kya nahin deta raha jine ki saza wo
jab bhi kabhi us ne mujhe maqtal mein sajaya
mujh ko to bas apna hi taraf-dar laga wo
jis ne bhi mera sath diya rah-e-wafa mein
ek shaKHs ki dahshat se mujhe chhoD gaya wo
aisa kabhi dekha na suna jaur ka KHugar
har bar jafa kar ke bhi hota tha KHafa wo
karta tha murawwat mein kabhi mashq-e-sitam bhi
kahta tha mere KHun ko kabhi rang-e-hina wo
- Book : Pakistani Adab (Pg. 514)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.