bazar-e-zindagi mein jame kaise apna rang
bāzār-e-zindagī meñ jame kaise apnā rañg
haiñ mushtarī ke taur na byopārīyoñ ke Dhang
muddat se phir rahā huuñ ḳhud apnī talāsh meñ
har lamha laḌ rahā huuñ ḳhud apne ḳhilāf jang
ik naam lauh-e-zehn se miTtā nahīñ hai kyuuñ
kyuuñ āḳhir is pe vaqt chaḌhātā nahīñ hai rañg
us se alag bhī 'umr to kaT hī ga.ī magar
ek ek pal ke bojh se dukhtā hai añg añg
shāḳh-e-nihāl-e-zehn pe ḳhvāboñ ke phuul the
hotā na apnā dast-e-junūñ kaash zer-e-sang
āvāz ke hisār meñ dil ab bhī qaid hai
māñge hai ab bhī pairahan-e-lafz har umang
kuchh tajraba bhī ab to zamāne kā ho gayā
kuchh dil ke bachpane se bhī ham aa ga.e haiñ tañg
kūcha-ba-kūcha phirte haiñ ab is tarah 'bashar'
bhaTke hai jaise haath se TuuTī huī patang
bazar-e-zindagi mein jame kaise apna rang
hain mushtari ke taur na byopariyon ke Dhang
muddat se phir raha hun KHud apni talash mein
har lamha laD raha hun KHud apne KHilaf jang
ek nam lauh-e-zehn se miTta nahin hai kyun
kyun aaKHir is pe waqt chaDhata nahin hai rang
us se alag bhi 'umr to kaT hi gai magar
ek ek pal ke bojh se dukhta hai ang ang
shaKH-e-nihaal-e-zehn pe KHwabon ke phul the
hota na apna dast-e-junun kash zer-e-sang
aawaz ke hisar mein dil ab bhi qaid hai
mange hai ab bhi pairahan-e-lafz har umang
kuchh tajraba bhi ab to zamane ka ho gaya
kuchh dil ke bachpane se bhi hum aa gae hain tang
kucha-ba-kucha phirte hain ab is tarah 'bashar'
bhaTke hai jaise hath se TuTi hui patang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.