bach ke wo nikalte hain jin se ru-shanasi hai
bach ke vo nikalte haiñ jin se rū-shanāsī hai
zindagī hamārī to ab ajal-numā sī hai
jazb ho ga.ī dil kī be-kalī fazāoñ meñ
is taraf hai sannāTā us taraf udāsī hai
dilkashī ġhazab kī hai husn-e-sāda-kārī meñ
kis ke dast-e-rañgīñ ne phuul kī qabā sī hai
ḳhushkī-e-lab-e-sāhil kah rahī hai pyāsoñ se
kyā bisāt-e-dariyā ḳhud us kī ruuh pyāsī hai
is qadar paḌā paanī khet jal gayā saarā
abr kī tabī.at bhī barq-e-sho.ala-zā sī hai
rūh-e-ḳhud-shanāsī hai aadmī kī ḳhuddārī
ḳhud-shanāsī-e-insāñ asl-e-haq-shanāsī hai
bach ke wo nikalte hain jin se ru-shanasi hai
zindagi hamari to ab ajal-numa si hai
jazb ho gai dil ki be-kali fazaon mein
is taraf hai sannaTa us taraf udasi hai
dilkashi ghazab ki hai husn-e-sada-kari mein
kis ke dast-e-rangin ne phul ki qaba si hai
KHushki-e-lab-e-sahil kah rahi hai pyason se
kya bisat-e-dariya KHud us ki ruh pyasi hai
is qadar paDa pani khet jal gaya sara
abr ki tabiat bhi barq-e-shoala-za si hai
ruh-e-KHud-shanasi hai aadmi ki KHuddari
KHud-shanasi-e-insan asl-e-haq-shanasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.