bacha kar shahr se sar aa gaya hun
bachā kar shahr se sar aa gayā huuñ
maiñ bhar kar jeb meñ Dar aa gayā huuñ
nahīñ ma.alūm vahshat hai ki dahshat
kueñ se pyaas bhar kar aa gayā huuñ
kamātā kyā musalsal hijratoñ meñ
bachāyā ye hai ki ghar aa gayā huuñ
galī meñ bhūñkte kuttoñ ke Dar se
tujhe dekhe binā ghar aa gayā huuñ
yahāñ 'ausāf' dariyā bhī hai pyāsā
ghaḌe meñ ret bhar kar aa gayā huuñ
bacha kar shahr se sar aa gaya hun
main bhar kar jeb mein Dar aa gaya hun
nahin malum wahshat hai ki dahshat
kuen se pyas bhar kar aa gaya hun
kamata kya musalsal hijraton mein
bachaya ye hai ki ghar aa gaya hun
gali mein bhunkte kutton ke Dar se
tujhe dekhe bina ghar aa gaya hun
yahan 'ausaf' dariya bhi hai pyasa
ghaDe mein ret bhar kar aa gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.