bacha ke rakkha hai jis ko ghurub-e-jaan ke liye
bachā ke rakkhā hai jis ko ġhurūb-e-jāñ ke liye
ye ek sub.h to hai sair-e-bostāñ ke liye
chaleñ kahīñ to siyah-dil zamānoñ meñ hoñgī
farāġhateñ bhī is ik sidq-e-rā.egāñ ke liye
likhe haiñ lauhoñ pe jo murda lafz un meñ jiyeñ
is apnī ziist ke asrār ke bayāñ ke liye
pukārtī rahī bansī bhaTak ga.e revaḌ
na.e giyāh na.e chashma-e-ravañ ke liye
sahar ko niklā huuñ meñh meñ akelā kis ke liye
daraḳht abr huā bū-e-ham-rahāñ ke liye
savād-e-nūr se dekheñ to tab surāġh mile
ki kis maqām kī zulmat hai kis jahāñ ke liye
to raushnī ke malīde meñ rizq kī ḳhātir
maiñ raushnā.ī ke guude meñ āb-o-nāñ ke liye
taras rahe haiñ sadā ḳhisht ḳhisht lamhoñ ke des
jo mere dil meñ hai is shahr-e-be-makāñ ke liye
ye nain jaltī lavoñ jiitī nekiyoñ vaale
ghane bahishtoñ kā saaya haiñ arz-e-jāñ ke liye
zamīr-e-ḳhāk meñ ḳhufta hai merā dil 'amjad'
ki niiñd mujh ko milī ḳhvāb-e-raftagāñ ke liye
bacha ke rakkha hai jis ko ghurub-e-jaan ke liye
ye ek subh to hai sair-e-bostan ke liye
chalen kahin to siyah-dil zamanon mein hongi
faraghaten bhi is ek sidq-e-raegan ke liye
likhe hain lauhon pe jo murda lafz un mein jiyen
is apni zist ke asrar ke bayan ke liye
pukarti rahi bansi bhaTak gae rewaD
nae giyah nae chashma-e-rawan ke liye
sahar ko nikla hun meinh mein akela kis ke liye
daraKHt abr hua bu-e-ham-rahan ke liye
sawad-e-nur se dekhen to tab suragh mile
ki kis maqam ki zulmat hai kis jahan ke liye
to raushni ke malide mein rizq ki KHatir
main raushnai ke gude mein aab-o-nan ke liye
taras rahe hain sada KHisht KHisht lamhon ke des
jo mere dil mein hai is shahr-e-be-makan ke liye
ye nain jalti lawon jiti nekiyon wale
ghane bahishton ka saya hain arz-e-jaan ke liye
zamir-e-KHak mein KHufta hai mera dil 'amjad'
ki nind mujh ko mili KHwab-e-raftagan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.