bad-guman aaj sari mahfil hai
bad-gumāñ aaj saarī mahfil hai
jaane kis raah kis kī manzil hai
hāl-e-dil ham bayāñ kareñ kaise
shahr kā mas.ala muqābil hai
'umr biitī hai merī sahrā meñ
duur tak dariyā hai na sāhil hai
saath chalnā hai un kī majbūrī
do kināroñ kī ek manzil hai
vo mirī ġhazloñ kā hī hai hissa
vo kahāñ zindagī meñ shāmil hai
dil mirī ek bhī nahīñ suntā
kaisā gustāḳh ye mirā dil hai
bad-guman aaj sari mahfil hai
jaane kis rah kis ki manzil hai
haal-e-dil hum bayan karen kaise
shahr ka masala muqabil hai
'umr biti hai meri sahra mein
dur tak dariya hai na sahil hai
sath chalna hai un ki majburi
do kinaron ki ek manzil hai
wo meri ghazlon ka hi hai hissa
wo kahan zindagi mein shamil hai
dil meri ek bhi nahin sunta
kaisa gustaKH ye mera dil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.