baDa be-dad-gar wo mah-jabin hai
baḌā be-dād-gar vo mah-jabīñ hai
magar itnā nahīñ jitnā hasīñ hai
tabassum-pāshiyāñ aġhyār par haiñ
hamāre vāste chīn-e-jabīñ hai
jahāñ meñ amn ho kyūñ-kar ki har sū
bapā jañg-e-baqā-e-behtarīñ hai
nahīñ kā lafz hai kuchh talḳh varna
tumhārī haañ kā matlab bhī nahīñ hai
tire mehmāñ vo aa.eñ ai 'vafā' kyā
are terā Thikāna bhī kahīñ hai
baDa be-dad-gar wo mah-jabin hai
magar itna nahin jitna hasin hai
tabassum-pashiyan aghyar par hain
hamare waste chin-e-jabin hai
jahan mein amn ho kyun-kar ki har su
bapa jang-e-baqa-e-behtarin hai
nahin ka lafz hai kuchh talKH warna
tumhaari han ka matlab bhi nahin hai
tere mehman wo aaen ai 'wafa' kya
are tera Thikana bhi kahin hai
- Book : Sang-e-meel (Pg. 89)
- Author : mela Ram ‘vfaa’
- Publication : Darpan Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.