baDa hai dukh so hasil hai ye aasani mujhe
baḌā hai dukh so hāsil hai ye āsānī mujhe
ki himmat hī nahīñ kuchh yaad karne kī mujhe
chalā aatā hai chupke se razā.ī meñ mirī
burī lagtī hai sūraj kī ye bebākī mujhe
chhupātā phir rahā huuñ ḳhud ko maiñ kis se yahāñ
agar pahchānñe vaalā nahīñ koī mujhe
guzar jā.egī saarī zindagī ummīd meñ
na jiine degī ye jiine kī tayyārī mujhe
agar kam boltā huuñ maiñ to kyuuñ bechain ho
tumhīñ se to lagī hai chup kī bīmārī mujhe
achānak kuchh huā hotā to koī baat thī
na jaane kyuuñ huī is darja hairānī mujhe
baDa hai dukh so hasil hai ye aasani mujhe
ki himmat hi nahin kuchh yaad karne ki mujhe
chala aata hai chupke se razai mein meri
buri lagti hai suraj ki ye bebaki mujhe
chhupata phir raha hun KHud ko main kis se yahan
agar pahchanne wala nahin koi mujhe
guzar jaegi sari zindagi ummid mein
na jine degi ye jine ki tayyari mujhe
agar kam bolta hun main to kyun bechain ho
tumhin se to lagi hai chup ki bimari mujhe
achanak kuchh hua hota to koi baat thi
na jaane kyun hui is darja hairani mujhe
- Book : Yahan Tak Roshni Aati Kahan Thi (Pg. 110)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Educational Publishing House (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.