baDa viran mausam hai kabhi milne chale aao
baḌā vīrān mausam hai kabhī milne chale aao
har ik jānib tirā ġham hai kabhī milne chale aao
hamārā dil kisī gahrī judā.ī ke bhañvar meñ hai
hamārī aañkh bhī nam hai kabhī milne chale aao
mire hamrāh garche duur tak logoñ kī raunaq hai
magar jaise koī kam hai kabhī milne chale aao
tumheñ to ilm hai mere dil-e-vahshī ke zaḳhmoñ ko
tumhārā vasl marham hai kabhī milne chale aao
añdherī raat kī gahrī ḳhamoshī aur tanhā dil
diye kī lau bhī maddham hai kabhī milne chale aao
tumhāre ruuTh ke jaane se ham ko aisā lagtā hai
muqaddar ham se barham hai kabhī milne chale aao
havāoñ aur phūloñ kī na.ī ḳhushbū batātī hai
tire aane kā mausam hai kabhī milne chale aao
baDa viran mausam hai kabhi milne chale aao
har ek jaanib tera gham hai kabhi milne chale aao
hamara dil kisi gahri judai ke bhanwar mein hai
hamari aankh bhi nam hai kabhi milne chale aao
mere hamrah garche dur tak logon ki raunaq hai
magar jaise koi kam hai kabhi milne chale aao
tumhein to ilm hai mere dil-e-wahshi ke zaKHmon ko
tumhaara wasl marham hai kabhi milne chale aao
andheri raat ki gahri KHamoshi aur tanha dil
diye ki lau bhi maddham hai kabhi milne chale aao
tumhaare ruTh ke jaane se hum ko aisa lagta hai
muqaddar hum se barham hai kabhi milne chale aao
hawaon aur phulon ki nai KHushbu batati hai
tere aane ka mausam hai kabhi milne chale aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.