badal badal ke wo chola makan se nikla
badal badal ke vo cholā makān se niklā
kisī kā tiir kisī kī kamān se niklā
hasīn bastiyāñ vīrān karne vaalā bhī
ḳhushī ko DhūñDhtā vahm-o-gumān se niklā
ajiib hādisa ahl-e-zamīn par guzrā
ki qatra qatra lahū āsmān se niklā
vo harf harf kitāboñ ko chāTne vaalā
safed kiiḌā mirī dāstān se niklā
vo ek qissa jo 'anvar' kabhī sunā na sakā
vo lafz lafz kisī ke bayān se niklā
badal badal ke wo chola makan se nikla
kisi ka tir kisi ki kaman se nikla
hasin bastiyan viran karne wala bhi
KHushi ko DhunDhta wahm-o-guman se nikla
ajib hadisa ahl-e-zamin par guzra
ki qatra qatra lahu aasman se nikla
wo harf harf kitabon ko chaTne wala
safed kiDa meri dastan se nikla
wo ek qissa jo 'anwar' kabhi suna na saka
wo lafz lafz kisi ke bayan se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.