badal ke humne tariqa KHat-o-kitabat ka
badal ke ham ne tarīqa ḳhat-o-kitābat kā
chhupā liyā hai zamāne se raaz ulfat kā
purānā zaḳhm nayā ho gayā to kyā hogā
na pheñko tiir hamārī taraf ko nafrat kā
bahār aa.ī thī chehre pe chaar din ke liye
nasha hai aaj bhī āñkhoñ meñ us latāfat kā
kabhī to aao hamāre ġharīb-ḳhāne par
hameñ bhī dījiyo mauqa' janāb ḳhidmat kā
bahut sambhāl ke rakhnā use hifāzat se
khilaunā TuuT na jaa.e mirī mohabbat kā
ye musht-e-ḳhāk jo insān kī haqīqat hai
tamāshā dekh rahā huuñ maiñ is kī fitrat kā
hamāre zarf ko nazroñ se tol kar 'ārif'
uThā rahā hai vo tūfān ik qayāmat kā
badal ke hum ne tariqa KHat-o-kitabat ka
chhupa liya hai zamane se raaz ulfat ka
purana zaKHm naya ho gaya to kya hoga
na phenko tir hamari taraf ko nafrat ka
bahaar aai thi chehre pe chaar din ke liye
nasha hai aaj bhi aankhon mein us latafat ka
kabhi to aao hamare gharib-KHane par
hamein bhi dijiyo mauqa' janab KHidmat ka
bahut sambhaal ke rakhna use hifazat se
khilauna TuT na jae meri mohabbat ka
ye musht-e-KHak jo insan ki haqiqat hai
tamasha dekh raha hun main is ki fitrat ka
hamare zarf ko nazron se tol kar 'arif'
uTha raha hai wo tufan ek qayamat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.