badalte rangon ki taswir ho chuka hun main
badalte rangoñ kī tasvīr ho chukā huuñ maiñ
kuchh aisā lagtā hai tasḳhīr ho chukā huuñ maiñ
bujhā do mash.aleñ ab der ho chukī yaaro
ḳhud apne paañv kī zanjīr ho chukā huuñ maiñ
maiñ ek ḳhvāb thā pahle haqīqatoñ se pare
zamāna guzrā ki ta.abīr ho chukā huuñ maiñ
utārā jā.egā mujh ko na.ī zamīnoñ par
sahīfoñ ke liye tahrīr ho chukā huuñ maiñ
mirā vajūd hai ibrat ke vāste 'kāzim'
kisī gunāh kī ta.azīr ho chukā huuñ maiñ
badalte rangon ki taswir ho chuka hun main
kuchh aisa lagta hai tasKHir ho chuka hun main
bujha do mashalen ab der ho chuki yaro
KHud apne panw ki zanjir ho chuka hun main
main ek KHwab tha pahle haqiqaton se pare
zamana guzra ki tabir ho chuka hun main
utara jaega mujh ko nai zaminon par
sahifon ke liye tahrir ho chuka hun main
mera wajud hai ibrat ke waste 'kazim'
kisi gunah ki tazir ho chuka hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.