badan bhigenge barsaten rahengi
badan bhīgeñge barsāteñ raheñgī
abhī kuchh din ye sauġhāteñ raheñgī
taḌap baaqī rahegī jhuuT hai ye
mileñge ham mulāqāteñ raheñgī
nazar meñ chehra koī aur hogā
gale meñ jhūltī bāñheñ raheñgī
safar meñ biit jaanā hai dinoñ ko
musalsal jāgtī rāteñ raheñgī
zabāneñ nutq se mahrūm hoñgī
sahīfoñ meñ munājāteñ raheñgī
manāzir dhund meñ chhup jā.eñge sab
ḳhalā meñ ghūrtī āñkheñ raheñgī
kahāñ tak saath deñge shahr vaale
kahāñ tak qaid āvāzeñ raheñgī
badan bhigenge barsaten rahengi
abhi kuchh din ye saughaten rahengi
taDap baqi rahegi jhuT hai ye
milenge hum mulaqaten rahengi
nazar mein chehra koi aur hoga
gale mein jhulti banhen rahengi
safar mein bit jaana hai dinon ko
musalsal jagti raaten rahengi
zabanen nutq se mahrum hongi
sahifon mein munajaten rahengi
manazir dhund mein chhup jaenge sab
KHala mein ghurti aankhen rahengi
kahan tak sath denge shahr wale
kahan tak qaid aawazen rahengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.