badan-darida hun yaro shikasta-pa hun main
badan-darīda huuñ yaaro shikasta-pā huuñ maiñ
ki jaise apne buzurgoñ kī bad-duā huuñ maiñ
vo shaḳhs to kisī andhī surañg jaisā hai
aur us se zinda nikalne kā rāsta huuñ maiñ
vo ham-safar hī nahīñ māntā mujhe apnā
ye jāntā huuñ magar saath chal rahā huuñ maiñ
ye bhuul jaao ki tum mujh ko bhuul jāoge
kabhī to tum se milūñgā ki hādisa huuñ maiñ
mirī shanāḳht mirā chehra-gar bhī kar na sakā
'salīm' itnī bulandī se gir paḌā huuñ maiñ
badan-darida hun yaro shikasta-pa hun main
ki jaise apne buzurgon ki bad-dua hun main
wo shaKHs to kisi andhi surang jaisa hai
aur us se zinda nikalne ka rasta hun main
wo ham-safar hi nahin manta mujhe apna
ye jaanta hun magar sath chal raha hun main
ye bhul jao ki tum mujh ko bhul jaoge
kabhi to tum se milunga ki hadisa hun main
meri shanaKHt mera chehra-gar bhi kar na saka
'salim' itni bulandi se gir paDa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.