badan-e-yar ki bu-bas uDa lae hawa
badan-e-yār kī bū-bās uḌā laa.e havā
jaan aa.e jo vahāñ ho ke yahāñ aa.e havā
badan-e-yār ko bas chhū ke na itrā.e havā
itr kī ban ke lipaT mujh se lipaT jaa.e havā
un ke kūche meñ ġhubār apnā uḌā kar le jaa.e
mujh pe ehsān kare mere bhī kaam aa.e havā
ho havā-dār savārī kā mire dosh-e-sabā
nā-tavāñ vo huuñ ki us tak mujhe pahuñchā.e havā
bañdh ga.ī baaġh meñ terī to havā bād-e-sabā
un ke kūche meñ mirī aah kī bañdh jaa.e havā
ik nigah bād-e-havā.ī bhī tumhārī hai sitam
jaan is tīr-e-havā.ī se na ho jaa.e havā
kyuuñ na ho bād-e-bahārī mujhe ye farmā.ish
kyuuñ na bāñdhūñ maiñ havā yaar jo bandhvā.e havā
kitnī nāzuk vo parī hai ki havā-dār us kā
sūrat-e-taḳht-e-sulaimāñ rahā bālā-e-havā
tū mile 'mehr' se iimā yahī tārīḳh ho sach
gulshan-o-bāda-o-gul meñ tujhe garmā.e havā
badan-e-yar ki bu-bas uDa lae hawa
jaan aae jo wahan ho ke yahan aae hawa
badan-e-yar ko bas chhu ke na itrae hawa
itr ki ban ke lipaT mujh se lipaT jae hawa
un ke kuche mein ghubar apna uDa kar le jae
mujh pe ehsan kare mere bhi kaam aae hawa
ho hawa-dar sawari ka mere dosh-e-saba
na-tawan wo hun ki us tak mujhe pahunchae hawa
bandh gai bagh mein teri to hawa baad-e-saba
un ke kuche mein meri aah ki bandh jae hawa
ek nigah baad-e-hawai bhi tumhaari hai sitam
jaan is tir-e-hawai se na ho jae hawa
kyun na ho baad-e-bahaari mujhe ye farmaish
kyun na bandhun main hawa yar jo bandhwae hawa
kitni nazuk wo pari hai ki hawa-dar us ka
surat-e-taKHt-e-sulaiman raha baala-e-hawa
tu mile 'mehr' se ima yahi tariKH ho sach
gulshan-o-baada-o-gul mein tujhe garmae hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.