Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai

Amir Hamza Saqib

badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    badan ke luqma-e-tar ko harām kar liyā hai

    ki ḳhvān-e-rūh pe jab se ta'ām kar liyā hai

    batāo uḌtī hai bāzār-e-jāñ meñ ḳhaak bahut

    batāo kyā hameñ apnā ġhulām kar liyā hai

    ye āstāna-e-hasrat hai ham bhī jānte haiñ

    diyā jalā diyā hai aur salām kar liyā hai

    makāñ ujaaḌ thā aur lā-makāñ ḳhvāhish thī

    so apne aap se bāhar qayām kar liyā hai

    bas ab tamām ho ye vahm-o-e’tibār khel

    bisāt ulaT sabhī saarā kaam kar liyā hai

    kisī se ḳhvāhish-e-guftār thī magar 'sāqib'

    vufūr-e-shauq meñ ḳhud se kalām kar liyā hai

    badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai

    ki KHwan-e-ruh pe jab se ta'am kar liya hai

    batao uDti hai bazar-e-jaan mein KHak bahut

    batao kya hamein apna ghulam kar liya hai

    ye aastana-e-hasrat hai hum bhi jaante hain

    diya jala diya hai aur salam kar liya hai

    makan ujaD tha aur la-makan ki KHwahish thi

    so apne aap se bahar qayam kar liya hai

    bas ab tamam ho ye wahm-o-e’tibar ka khel

    bisat ulaT di sabhi sara kaam kar liya hai

    kisi se KHwahish-e-guftar thi magar 'saqib'

    wufur-e-shauq mein KHud se kalam kar liya hai

    Source :
    • Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 23)
    • Author : Ameer Hamza Saqib
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now