badan ke sare dafinon ko chaT jati hai
badan ke saare dafīnoñ ko chaaT jaatī hai
ye muflisī mirī parvāz kaaT jaatī hai
maiñ dushmanī bhī salīqa se kar nahīñ paatā
ki maslahat mirī talḳhī bhī paaT jaatī hai
kabhī to yuuñ hai ki baazū nahīñ mayassar haiñ
kabhī huā hai ki parvāz kaaT jaatī hai
zabāñ hī zaḳhm lagā.e ye kyā zarūrī hai
kabhī kisī kī nazar bhī to kaaT jaatī hai
'nadīm' ham bhī haiñ yājūj ke qabīle se
ki apnī bhuuk bhī dīvār chaaT jaatī hai
badan ke sare dafinon ko chaT jati hai
ye muflisi meri parwaz kaT jati hai
main dushmani bhi saliqa se kar nahin pata
ki maslahat meri talKHi bhi paT jati hai
kabhi to yun hai ki bazu nahin mayassar hain
kabhi hua hai ki parwaz kaT jati hai
zaban hi zaKHm lagae ye kya zaruri hai
kabhi kisi ki nazar bhi to kaT jati hai
'nadim' hum bhi hain yajuj ke qabile se
ki apni bhuk bhi diwar chaT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.