badan ko wajd tere be-hisab-o-had aae
badan ko vajd tire be-hisāb-o-had aa.e
mirī rasā.ī meñ gar terā jazr-o-mad aa.e
maiñ ik daf.a tujhe chūmūñ to tere ḳhvāboñ meñ
kisī bhī mard kā chehrā na tā-abad aa.e
maiñ teġh-e-ishq se gar tol duuñ badan terā
tirī nazar meñ na mīzān-e-nek-o-bad aa.e
jo tere ḳhvāb meñ aa jaa.e barshgāl mirā
mire liye na tire lab pe radd-o-kad aa.e
har ek saal manā.ūñ maiñ jashn-e-lams us kā
jo dastaras meñ mirī vo darāz-qad aa.e
bahut sajegī ye poshāk-e-harf ai 'kāshif'
jo shā.erī meñ mirī us ke ḳhāl-o-ḳhad aa.e
badan ko wajd tere be-hisab-o-had aae
meri rasai mein gar tera jazr-o-mad aae
main ek dafa tujhe chumun to tere KHwabon mein
kisi bhi mard ka chehra na ta-abad aae
main tegh-e-ishq se gar tol dun badan tera
teri nazar mein na mizan-e-nek-o-bad aae
jo tere KHwab mein aa jae barshgal mera
mere liye na tere lab pe radd-o-kad aae
har ek sal manaun main jashn-e-lams us ka
jo dastaras mein meri wo daraaz-qad aae
bahut sajegi ye poshak-e-harf ai 'kashif'
jo shaeri mein meri us ke KHal-o-KHad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.