badan mein dosto jab tak ki jaan baqi hai
badan meñ dosto jab tak ki jaan baaqī hai
qadam qadam pe abhī imtihān baaqī hai
tum apne zulm-o-tashaddud se baaz mat aao
hamāre paas bhī tīr-o-kamān baaqī hai
ham un ko pesh kareñ apnī iltijā kaise
koī salīqa na tarz-e-bayān baaqī hai
kabhī jo zaḳhm mohabbat meñ the diye tum ne
hamāre dil pe usī kā nishān baaqī hai
ye sach hai dard na.e daur meñ har insāñ ko
sukūn-e-dil hai na amn-o-amān baaqī hai
badan mein dosto jab tak ki jaan baqi hai
qadam qadam pe abhi imtihan baqi hai
tum apne zulm-o-tashaddud se baz mat aao
hamare pas bhi tir-o-kaman baqi hai
hum un ko pesh karen apni iltija kaise
koi saliqa na tarz-e-bayan baqi hai
kabhi jo zaKHm mohabbat mein the diye tum ne
hamare dil pe usi ka nishan baqi hai
ye sach hai dard nae daur mein har insan ko
sukun-e-dil hai na amn-o-aman baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.