badan mein phul khile dard ne visal kiya
badan meñ phuul khile dard ne visāl kiyā
aziyyatoñ kī mahak ne mujhe nihāl kiyā
charāġh aayā nazar to nazar pighalne lagī
ham ahl-e-chashm ne yuuñ aag kā ḳhayāl kiyā
maiñ chal rahā thā magar saañs ruk ga.ī merī
guzarte vaqt ne aisā ajab savāl kiyā
har ek shaḳhs thā mātam-kunāñ so maiñ ne bhī
udaas rang pahan kar ḳhizāñ ko shaal kiyā
use chhuā to dhanak kī girah khulī aise
nafīs lams ne poroñ meñ intiqāl kiyā
badan mein phul khile dard ne visal kiya
aziyyaton ki mahak ne mujhe nihaal kiya
charagh aaya nazar to nazar pighalne lagi
hum ahl-e-chashm ne yun aag ka KHayal kiya
main chal raha tha magar sans ruk gai meri
guzarte waqt ne aisa ajab sawal kiya
har ek shaKHs tha matam-kunan so main ne bhi
udas rang pahan kar KHizan ko shaal kiya
use chhua to dhanak ki girah khuli aise
nafis lams ne poron mein intiqal kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.