badan pe ghas hari qurb ki ugata hai
badan pe ghaas harī qurb kī ugātā hai
ye niil roz na.e sāmrī bulātā hai
hamārī pyaas bhī hai bhed kholne vaalī
vo pāniyoñ ko siyah ret meñ chhupātā hai
hiran kī aañkh meñ phailā harā-bharā jañgal
damaktī dhuup pe kilkāriyāñ lagātā hai
sukūñ kī aur jhapaTtī haiñ būḌhī chīleñ phir
nukīlī kirchiyāñ har rāsta ugātā hai
girafteñ ḳhushk huiiñ aur phislaneñ shādāb
shikasta sūrateñ har ā.īna dikhātā hai
badan pe ghas hari qurb ki ugata hai
ye nil roz nae samri bulata hai
hamari pyas bhi hai bhed kholne wali
wo paniyon ko siyah ret mein chhupata hai
hiran ki aankh mein phaila hara-bhara jangal
damakti dhup pe kilkariyan lagata hai
sukun ki aur jhapaTti hain buDhi chilen phir
nukili kirchiyan har rasta ugata hai
giraften KHushk huin aur phislanen shadab
shikasta suraten har aaina dikhata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.