baḌe 'ajīb manāzir nazar se guzre haiñ
jab ahl-e-hosh tirī rahguzar se guzre haiñ
musāfirān-e-rah-e-zīst kā shumār kahāñ
na jaane qāfile kitne udhar se guzre haiñ
tirī talāsh meñ duniyā ko chhān Daalā hai
tirī talāsh meñ har rahguzar se guzre haiñ
maiñ jāntā huuñ vahī dil ko dil banā deñge
musībatoñ ke jo tūfān sar se guzre haiñ
ye kah rahe the farishtoñ se mai-kade vaale
abhī janāb-e-'munavvar' idhar se guzre haiñ
baDe 'ajib manazir nazar se guzre hain
jab ahl-e-hosh teri rahguzar se guzre hain
musafiran-e-rah-e-zist ka shumar kahan
na jaane qafile kitne udhar se guzre hain
teri talash mein duniya ko chhan Dala hai
teri talash mein har rahguzar se guzre hain
main jaanta hun wahi dil ko dil bana denge
musibaton ke jo tufan sar se guzre hain
ye kah rahe the farishton se mai-kade wale
abhi janab-e-'munawwar' idhar se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.