baDe bane the jalib sahab piTe saDak ke bich
baḌe bane the 'jālib' sāhab piTe saḌak ke biich
golī khaa.ī lāThī khaa.ī gire saḌak ke biich
kabhī girebāñ chaak huā aur kabhī huā dil ḳhuun
hameñ to yūñhī mile suḳhan ke sile saḌak ke biich
jism pe jo zaḳhmoñ ke nishāñ haiñ apne tamġhe haiñ
milī hai aisī daad vafā kī kise saḌak ke biich
baDe bane the 'jalib' sahab piTe saDak ke bich
goli khai laThi khai gire saDak ke bich
kabhi gireban chaak hua aur kabhi hua dil KHun
hamein to yunhi mile suKHan ke sile saDak ke bich
jism pe jo zaKHmon ke nishan hain apne tamghe hain
mili hai aisi dad wafa ki kise saDak ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.