baDe hi mood mein titli thi us din
baḌe hī mood meñ titlī thī us din
tumhārī baat phir niklī thī us din
faqat ḳhud ko na tum ilzām denā
havā bhī kuchh zarā paglī thī us din
tere hāthoñ meñ merī uñgliyāñ thiiñ
balā kī tishnagī machlī thī us din
vo din jab ham jiye the asliyat meñ
lagī duniyā hameñ niklī thī us din
chhatoñ par shor thā bas bārishoñ kā
mehrbāñ chāñd par badlī thī us din
tere kāñdhe pe ik bhūrā nishāñ thā
vahīñ par sham.a ik pighlī thī us din
thā shaidā āsmāñ chehre pe tere
nazar tāroñ kī bhī phislī thī us din
bahak jaane meñ āsānī thī kitnī
baḌī mushkil se jaañ sambhalī thī us din
ye maanā muḳhtasar sā ek din thā
mohabbat jān-e-man aslī thī us din
baDe hi mood mein titli thi us din
tumhaari baat phir nikli thi us din
faqat KHud ko na tum ilzam dena
hawa bhi kuchh zara pagli thi us din
tere hathon mein meri ungliyan thin
bala ki tishnagi machli thi us din
wo din jab hum jiye the asliyat mein
lagi duniya hamein nikli thi us din
chhaton par shor tha bas barishon ka
mehrban chand par badli thi us din
tere kandhe pe ek bhura nishan tha
wahin par shama ek pighli thi us din
tha shaida aasman chehre pe tere
nazar taron ki bhi phisli thi us din
bahak jaane mein aasani thi kitni
baDi mushkil se jaan sambhali thi us din
ye mana muKHtasar sa ek din tha
mohabbat jaan-e-man asli thi us din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.