baDe hisab se izzat bachani paDti hai
baḌe hisāb se izzat bachānī paḌtī hai
hamesha jhūTī kahānī sunānī paḌtī hai
tum ek baar jo TuuTe to juḌ nahīñ paa.e
hameñ to roz ye zillat uThānī paḌtī hai
mujhe ḳharīdne aise bhī log aate haiñ
ki jin ke kahne se qīmat ghaTānī paḌtī hai
malāl ye hai ki ye donoñ haath mere haiñ
kisī kī chiiz kisī se chhupānī paḌtī hai
tum apnā naam batā kar hī chhūT jaate ho
hameñ to zaat bhī apnī batānī paḌtī hai
baDe hisab se izzat bachani paDti hai
hamesha jhuTi kahani sunani paDti hai
tum ek bar jo TuTe to juD nahin pae
hamein to roz ye zillat uThani paDti hai
mujhe KHaridne aise bhi log aate hain
ki jin ke kahne se qimat ghaTani paDti hai
malal ye hai ki ye donon hath mere hain
kisi ki chiz kisi se chhupani paDti hai
tum apna nam bata kar hi chhuT jate ho
hamein to zat bhi apni batani paDti hai
- Book : Dhoop Phir Nikal aai (Pg. 15)
- Author : Haseeb soz
- Publication : Lamhe lamhe Publications, Imam bara Alapur, (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.