baDe nazon se dil mein jalwa-e-jaanana aata hai
baḌe nāzoñ se dil meñ jalva-e-jānāna aatā hai
ye ghar jis ne banāyā hai vo vo sāhab-ḳhāna aatā hai
ḳhudā ke vāste muñh se lagā de ḳhum ke ḳhum saaqī
baḌā ghanghor bādal jānib-e-mai-ḳhāna aatā hai
nikal jaatā hai muñh se naam un kā bātoñ bātoñ meñ
zabāñ par jo na aanā thā vo betābāna aatā hai
nikaltī hai kisī par jhuum kar vo mujh pe girtī hai
tumhārī teġh ko kyā sheva-e-mastāna aatā hai
bahār āḳhir huī hai 'qadr' kī turbat pe melā hai
yahāñ beḌī baḌhāne ko har ik dīvāna aatā hai
baDe nazon se dil mein jalwa-e-jaanana aata hai
ye ghar jis ne banaya hai wo wo sahab-KHana aata hai
KHuda ke waste munh se laga de KHum ke KHum saqi
baDa ghanghor baadal jaanib-e-mai-KHana aata hai
nikal jata hai munh se nam un ka baaton baaton mein
zaban par jo na aana tha wo betabana aata hai
nikalti hai kisi par jhum kar wo mujh pe girti hai
tumhaari tegh ko kya shewa-e-mastana aata hai
bahaar aaKHir hui hai 'qadr' ki turbat pe mela hai
yahan beDi baDhane ko har ek diwana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.