baDe saliqe se toDa mera yaqin usne
baḌe salīqe se toḌā mirā yaqīn us ne
ki naam apne hī kar lī hai sab zamīn us ne
tabāh shahr ko pahle kiyā phir is ke ba.ad
hamāre shahr meñ bheje tamāsh-bīn us ne
nibhegā kaise ta.alluq samajh nahīñ aatā
anā kī Dor rakhī hai bahut mahīn us ne
ḳhudā banā ke hameñ pūjne lagā thā vo
bahut ḳharāb kiyā hai hamārā diin us ne
zahīn laḌkī hai vo jis ke ishq meñ ham haiñ
banā diyā hai hameñ bhī bahut zahīn us ne
baDe saliqe se toDa mera yaqin us ne
ki nam apne hi kar li hai sab zamin us ne
tabah shahr ko pahle kiya phir is ke baad
hamare shahr mein bheje tamash-bin us ne
nibhega kaise talluq samajh nahin aata
ana ki Dor rakhi hai bahut mahin us ne
KHuda bana ke hamein pujne laga tha wo
bahut KHarab kiya hai hamara din us ne
zahin laDki hai wo jis ke ishq mein hum hain
bana diya hai hamein bhi bahut zahin us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.