baDe tajiron ki satai hui
baḌe tājiroñ kī satā.ī huī
ye duniyā dulhan hai jalā.ī huī
bharī dopahar kā khilā phuul hai
pasīne meñ laḌkī nahā.ī huī
kiran phuul kī pattiyoñ meñ dabī
hañsī us ke hoñToñ pe aa.ī huī
vo chehra kitābī rahā sāmne
baḌī ḳhūb-sūrat paḌhā.ī huī
udāsī bichhī hai baḌī duur tak
bahāroñ kī beTī parā.ī huī
ḳhushī ham ġharīboñ kī jaise miyāñ
mazāroñ pe chādar chaḌhā.ī huī
baDe tajiron ki satai hui
ye duniya dulhan hai jalai hui
bhari dopahar ka khila phul hai
pasine mein laDki nahai hui
kiran phul ki pattiyon mein dabi
hansi us ke honTon pe aai hui
wo chehra kitabi raha samne
baDi KHub-surat paDhai hui
udasi bichhi hai baDi dur tak
bahaaron ki beTi parai hui
KHushi hum gharibon ki jaise miyan
mazaron pe chadar chaDhai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.