baDe yaqin se koi is intizar mein hai
baḌe yaqīn se koī is intizār meñ hai
tirā visāl kā va.ada isī bahār meñ hai
kuchh aur vaqt lagegā zarā to sabr karo
jo tishnagī kā masīhā hai regzār meñ hai
maiñ apne dil ko bachā.ūñ to kis tarah jānāñ
kahāñ bachegā jo terī nazar kī maar meñ hai
har ek shai hai merī justujū ke pahlū meñ
merī hayāt mire hī to iḳhtiyār meñ hai
mirā savāl hai ab mo.ajizoñ ke hone par
ye ḳhaak ab bhī sharāroñ ke intizār meñ hai
bas ek lafz ne taarī kiyā thā vajd koī
ye kā.enāt abhī bhī usī ḳhumār meñ hai
koī to pūchh ke aa.e maqām 'kāfir' kā
suḳhnavaroñ ke qabīle meñ kis shumār meñ hai
baDe yaqin se koi is intizar mein hai
tera visal ka wada isi bahaar mein hai
kuchh aur waqt lagega zara to sabr karo
jo tishnagi ka masiha hai regzar mein hai
main apne dil ko bachaun to kis tarah jaanan
kahan bachega jo teri nazar ki mar mein hai
har ek shai hai meri justuju ke pahlu mein
meri hayat mere hi to iKHtiyar mein hai
mera sawal hai ab moajizon ke hone par
ye KHak ab bhi shararon ke intizar mein hai
bas ek lafz ne tari kiya tha wajd koi
ye kaenat abhi bhi usi KHumar mein hai
koi to puchh ke aae maqam 'kafir' ka
suKHnawaron ke qabile mein kis shumar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.