baDh chala ishq to dil chhoD ke duniya uTTha
baḌh chalā ishq to dil chhoḌ ke duniyā uTThā
ḳhud-baḳhud josh-e-mai-e-nāb se shīsha uTThā
dast-e-nāzuk se zar-e-gul kā bhī uThnā hai muhāl
ye to farmā.iye kis vaj.h se toḌā uTThā
jab pukāre lab-e-jāñ-baḳhsh se vo mar ga.e ham
nā-tavānoñ se na bār-e-dam-e-īsā uTThā
ḳhāksāroñ meñ nahīñ aise kisī kī tauqīr
qadd-e-ādam mirī ta.azīm ko saayā uTThā
yaad us but kī namāzoñ meñ jo aa.ī mujh ko
tapish-e-shauq se har baar maiñ baiThā uTThā
baDh chala ishq to dil chhoD ke duniya uTTha
KHud-baKHud josh-e-mai-e-nab se shisha uTTha
dast-e-nazuk se zar-e-gul ka bhi uThna hai muhaal
ye to farmaiye kis wajh se toDa uTTha
jab pukare lab-e-jaan-baKHsh se wo mar gae hum
na-tawanon se na bar-e-dam-e-isa uTTha
KHaksaron mein nahin aise kisi ki tauqir
qadd-e-adam meri tazim ko saya uTTha
yaad us but ki namazon mein jo aai mujh ko
tapish-e-shauq se har bar main baiTha uTTha
- Muntakhabul-Alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.