baDh gai kuchh aur uljhan rabta karne ke baad
baḌh ga.ī kuchh aur uljhan rābta karne ke baa'd
ḳhud se bhī shikva rahā us se gila karne ke baa'd
ham ko muḌ kar dekhne kī kyā zarūrat thī use
kaun ruktā hai yahāñ par hādisa karne ke baa'd
kyā qayāmat hai ki ghar se DhūñDne nikle haiñ log
ḳhud ko apnī ḳhvāhishoñ meñ lāpata karne ke baa'd
merī saarī mushkileñ haiñ mere hone kī dalīl
maiñ kahāñ baaqī rahūñgā iltijā karne ke baa'd
is se baḌh kar aur kyā ham par sitam hogā 'munīr'
mashvara māñgā hai us ne faisla karne ke baa'd
baDh gai kuchh aur uljhan rabta karne ke ba'd
KHud se bhi shikwa raha us se gila karne ke ba'd
hum ko muD kar dekhne ki kya zarurat thi use
kaun rukta hai yahan par hadisa karne ke ba'd
kya qayamat hai ki ghar se DhunDne nikle hain log
KHud ko apni KHwahishon mein lapata karne ke ba'd
meri sari mushkilen hain mere hone ki dalil
main kahan baqi rahunga iltija karne ke ba'd
is se baDh kar aur kya hum par sitam hoga 'munir'
mashwara manga hai us ne faisla karne ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.