baDh gaya mol zindagani ka
baḌh gayā mol zindagānī kā
ab maiñ hissa huuñ ik kahānī kā
laḌkhaḌāne kī puurī koshish hai
āḳhirī moḌ hai javānī kā
aaj āñkhoñ se kaam leñge ham
aaj mauqa hai be-karānī kā
maiñ ḳhalāoñ talak to aa hī gayā
shukr sad shukr rā.egānī kā
ashk āh-o-fuġhāñ ġhazal-goī
marhala ab hai tarjumānī kā
baDh gaya mol zindagani ka
ab main hissa hun ek kahani ka
laDkhaDane ki puri koshish hai
aaKHiri moD hai jawani ka
aaj aankhon se kaam lenge hum
aaj mauqa hai be-karani ka
main KHalaon talak to aa hi gaya
shukr sad shukr raegani ka
ashk aah-o-fughan ghazal-goi
marhala ab hai tarjumani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.