baDhaya hath magar kuchh sila na hath aaya
baḌhāyā haath magar kuchh sila na haath aayā
kaf-e-tahī ke safar meñ gayā na haath aayā
girah meñ kholtā kaise ḳhirad-asīroñ kī
ki Dor uljhī huī thī sirā na haath aayā
ye rasm ḳhuub chalī hai mire zamāne meñ
ki haath lag gayā achchhā burā na haath aayā
lo hāthoñ haath luTā hai bahār kā ḳhirman
ḳhizāñ to ḳhush huī jaise ḳhazāna haath aayā
maiñ us ke sāmne ḳhāmosh kyā rahā ki use
ḳhitāb karne kā sab se bahāna haath aayā
sarāb detā hameñ kyā havas ke sahrā meñ
sivā.e musht-e-ġhubār-e-havā na haath aayā
majāl hai ye kisī kī koī bashar ye kahe
ḳhudā ḳhudā bhī kiyā aur ḳhudā na haath aayā
baDhaya hath magar kuchh sila na hath aaya
kaf-e-tahi ke safar mein gaya na hath aaya
girah mein kholta kaise KHirad-asiron ki
ki Dor uljhi hui thi sira na hath aaya
ye rasm KHub chali hai mere zamane mein
ki hath lag gaya achchha bura na hath aaya
lo hathon hath luTa hai bahaar ka KHirman
KHizan to KHush hui jaise KHazana hath aaya
main us ke samne KHamosh kya raha ki use
KHitab karne ka sab se bahana hath aaya
sarab deta hamein kya hawas ke sahra mein
siwae musht-e-ghubar-e-hawa na hath aaya
majal hai ye kisi ki koi bashar ye kahe
KHuda KHuda bhi kiya aur KHuda na hath aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.