baDhi jo had se to sare tilism toD gai
baḌhī jo had se to saare tilism toḌ ga.ī
vo ḳhush-dilī jo diloñ ko diloñ se joḌ ga.ī
abad kī raah pe be-ḳhvāb dhaḌkanoñ kī dhamak
jo so ga.e unheñ bujhte jagoñ meñ chhoḌ ga.ī
ye zindagī kī lagan hai ki rat-jagoñ kī tarañg
jo jāgte the unhī ko ye dhun jhiñjhoḌ ga.ī
vo ek Tiis jise terā naam yaad rahā
kabhī kabhī to mire dil kā saath chhoḌ ga.ī
rukā rukā tire lab par ajab suḳhan thā koī
tirī nigah bhī jise nā-tamām chhoḌ ga.ī
farāz-e-dil se utartī huī nadī 'amjad'
jahāñ jahāñ thā hasīñ vādiyoñ kā moḌ ga.ī
baDhi jo had se to sare tilism toD gai
wo KHush-dili jo dilon ko dilon se joD gai
abad ki rah pe be-KHwab dhaDkanon ki dhamak
jo so gae unhen bujhte jagon mein chhoD gai
ye zindagi ki lagan hai ki rat-jagon ki tarang
jo jagte the unhi ko ye dhun jhinjhoD gai
wo ek Tis jise tera nam yaad raha
kabhi kabhi to mere dil ka sath chhoD gai
ruka ruka tere lab par ajab suKHan tha koi
teri nigah bhi jise na-tamam chhoD gai
faraaz-e-dil se utarti hui nadi 'amjad'
jahan jahan tha hasin wadiyon ka moD gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.