baDhne lagi hai bhiD mein tanhai aaj-kal
baḌhne lagī hai bhiiḌ meñ tanhā.ī āj-kal
shāyad huī hai ḳhud se shanāsā.ī āj-kal
ranj-o-alam kī aañch meñ rishte bhasam hue
ab chal rahī hai dard kī purvā.ī āj-kal
ham se bichhaḌ ke jab se vo pardes jā basā
suunī paḌī hai man kī ye añgnā.ī āj-kal
jiddat ne kuchh to phūñkā hai paḌh kar dayār meñ
Darne lagī hai jhuuT se sachchā.ī āj-kal
ai dil maiñ terī baat pe kaise amal karūñ
māhaul Das rahā hai karonā.ī āj-kal
ruḳh par naqāb oḌh ke phirne lage sabhī
lagtī hai har nazar bhī to katrā.ī āj-kal
mausam ke bhī mizāj kā badlā hai rang to
har phuul har kalī bhī hai gadrā.ī āj-kal
guzrā hai 'shāz' dil se mohabbat kā qāfila
lagne lagī hai jiit ye paspā.ī āj-kal
baDhne lagi hai bhiD mein tanhai aaj-kal
shayad hui hai KHud se shanasai aaj-kal
ranj-o-alam ki aanch mein rishte bhasam hue
ab chal rahi hai dard ki purwai aaj-kal
hum se bichhaD ke jab se wo pardes ja basa
suni paDi hai man ki ye angnai aaj-kal
jiddat ne kuchh to phunka hai paDh kar dayar mein
Darne lagi hai jhuT se sachchai aaj-kal
ai dil main teri baat pe kaise amal karun
mahaul Das raha hai karonai aaj-kal
ruKH par naqab oDh ke phirne lage sabhi
lagti hai har nazar bhi to katrai aaj-kal
mausam ke bhi mizaj ka badla hai rang to
har phul har kali bhi hai gadrai aaj-kal
guzra hai 'shaz' dil se mohabbat ka qafila
lagne lagi hai jit ye paspai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.