baDhti hui nafrat ko mohabbat se miTa de
baḌhtī huī nafrat ko mohabbat se miTā de
duniyā ko bhī jiine kā ye andāz sikhā de
jaate hue lamhoñ kā hai bas itnā taqāzā
bujhte hue sho.aloñ ko na phir koī havā de
kuchh aisī ḳhatā.eñ haiñ jo ho jaatī haiñ sab se
mālik pe ye chhoḌā hai vo jo chāhe sazā de
farzānoñ se pūchhā thā ki kis baat pe gum haiñ
kahne lage hañs ke koī dīvāna banā de
bebāk sī fitrat pe unheñ naaz bahut hai
tahzībī taqāze bhī haiñ kuchh un ko batā de
sochā thā ki un ko koī paiġhām na deñge
mausam kā taqāzā hai koī un ko bulā de
guzre hue lamhoñ ko agar Dar hai to itnā
'shamshād' unheñ zehn se apne na haTā de
baDhti hui nafrat ko mohabbat se miTa de
duniya ko bhi jine ka ye andaz sikha de
jate hue lamhon ka hai bas itna taqaza
bujhte hue shoalon ko na phir koi hawa de
kuchh aisi KHataen hain jo ho jati hain sab se
malik pe ye chhoDa hai wo jo chahe saza de
farzanon se puchha tha ki kis baat pe gum hain
kahne lage hans ke koi diwana bana de
bebak si fitrat pe unhen naz bahut hai
tahzibi taqaze bhi hain kuchh un ko bata de
socha tha ki un ko koi paigham na denge
mausam ka taqaza hai koi un ko bula de
guzre hue lamhon ko agar Dar hai to itna
'shamshad' unhen zehn se apne na haTa de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.