baDhti rahi har sal jo tadad hamari
baḌhtī rahī har saal jo ta.adād hamārī
kyā yaad karegī hameñ aulād hamārī
disco ke muġhannī kī jhalak dekh ke majnūñ
chīḳhā ki madad kījiye ustād hamārī
mashriq se ta.alluq hai na maġhrib se connection
fashion ne hilā Daalī hai buniyād hamārī
shīrīñ ko banā rakkhā hai daftar kā steno
taqlīd karegā koī farhād hamārī
ham ne to unheñ jāmia se naqd ḳharīdā
phir kis tarah ja.alī huiiñ asnād hamārī
jis roz se member vo kametī kā huā hai
suntā nahīñ rūdād karam-dād hamārī
jis vaqt bhī vo ālamī net on karegā
email dilā degī use yaad hamārī
baDhti rahi har sal jo tadad hamari
kya yaad karegi hamein aulad hamari
disco ke mughanni ki jhalak dekh ke majnun
chiKHa ki madad kijiye ustad hamari
mashriq se talluq hai na maghrib se connection
fashion ne hila Dali hai buniyaad hamari
shirin ko bana rakkha hai daftar ka steno
taqlid karega koi farhad hamari
hum ne to unhen jamia se naqd KHarida
phir kis tarah jali huin asnad hamari
jis roz se member wo kameti ka hua hai
sunta nahin rudad karam-dad hamari
jis waqt bhi wo aalami net on karega
email dila degi use yaad hamari
- Book : Dish antenna (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.