baDi bad-namiyan hongi sar-e-bazar milne se
baḌī bad-nāmiyāñ hoñgī sar-e-bāzār milne se
diloñ ke bhed khulte haiñ nazar ke taar milne se
hai dīvāna to dīvāna darak kyā us ko jazboñ kā
milegā kyā tumheñ us se dīvāna-vār milne se
koī maqsad koī matlab rahe to baat bhī kuchh ho
natīja varna kyā hogā yuuñ hī be-kār milne se
mulāqāteñ na.ī kuchh rang bhartī haiñ baḌe dilkash
kahānī aage baḌhtī hai na.e kirdār milne se
tasavvur meñ akele mil ke dekhoge to jānoge
na milnā kitnā behtar thā sar-e-bāzār milne se
kabhī had se ziyāda baḌh bhī jaate haiñ sitamgar ye
masā.il hal bhī ho jaate haiñ aksar yaar milne se
hamīñ ham ek haiñ duujā nahīñ koī to batlāo
hameñ rokegī kyā duniyā dīvāna-vār milne se
baDi bad-namiyan hongi sar-e-bazar milne se
dilon ke bhed khulte hain nazar ke tar milne se
hai diwana to diwana darak kya us ko jazbon ka
milega kya tumhein us se diwana-war milne se
koi maqsad koi matlab rahe to baat bhi kuchh ho
natija warna kya hoga yun hi be-kar milne se
mulaqaten nai kuchh rang bharti hain baDe dilkash
kahani aage baDhti hai nae kirdar milne se
tasawwur mein akele mil ke dekhoge to jaanoge
na milna kitna behtar tha sar-e-bazar milne se
kabhi had se ziyaada baDh bhi jate hain sitamgar ye
masail hal bhi ho jate hain aksar yar milne se
hamin hum ek hain duja nahin koi to batlao
hamein rokegi kya duniya diwana-war milne se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.