baDi dilchaspiyon se subh-e-sham-e-zindagi hogi
baḌī dilchaspiyoñ se sub.h-e-shām-e-zindagī hogī
maiñ dekhūñgā unheñ aur saarī duniyā dekhtī hogī
kuchh aise dard se furqat meñ maiñ ne haath uThā.e haiñ
duā bhī kāmyābī kī duā.eñ māñgtī hogī
sar-e-mahshar hijāb o shauq kā ik ma.arka hogā
unheñ apnī paḌī hogī mujhe apnī paḌī hogī
na karte hashr ko rusvā kabhī din ke ujāle meñ
ḳhabar kyā thī tirī furqat kī raat itnī baḌī hogī
ta.ajjub kyā lage gar aag ai 'sīmāb' siine meñ
hazāroñ dil meñ añgāre bhare the lag ga.ī hogī
baDi dilchaspiyon se subh-e-sham-e-zindagi hogi
main dekhunga unhen aur sari duniya dekhti hogi
kuchh aise dard se furqat mein main ne hath uThae hain
dua bhi kaamyabi ki duaen mangti hogi
sar-e-mahshar hijab o shauq ka ek marka hoga
unhen apni paDi hogi mujhe apni paDi hogi
na karte hashr ko ruswa kabhi din ke ujale mein
KHabar kya thi teri furqat ki raat itni baDi hogi
tajjub kya lage gar aag ai 'simab' sine mein
hazaron dil mein angare bhare the lag gai hogi
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 256)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.