baDi farz-ashna hai saba kare KHub kaam hisab ka
baḌī farz-āshnā hai sabā kare ḳhuub kaam hisāb kā
phir uḌā ke le ga.ī ik varaq mirī zindagī kī kitāb kā
kahūñ kyā ki dasht-e-hayāt meñ rahā silsila vo sarāb kā
kabhī hausla hī na kar sakī mirī aañkh dariyā ke ḳhvāb kā
na atā-e-duḳhtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-sāqī-e-mai-nafas
jo chaḌhe to phir na utar sake ye nasha hai fan kī sharāb kā
sar-e-rāh mil ke bichhaḌ ga.e thā bas ek pal kā vo hādsa
mire sehn-e-dil meñ muqīm hai vahī ek lamha azaab kā
mire saath saath safar meñ hai mire ghar kī saarī hamāhamī
sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phuul gulāb kā
do farishta dast-e-balā liye do chhalakte jaam takā kiye
mire ham-rikāb vo mauj-e-gul vahī sail-e-chashm-e-pur-āb kā
maiñ agarche kar bhī chukā raqam idhar ek daftar-e-rañj-o-ġham
magar intizār hai dam-ba-dam mujhe pahle ḳhat ke javāb kā
ye jo mere sāġhar-e-dil meñ hai mai-e-fan hai ḳhuuñ kī kashīd hai
yahī ek umr kā mā-hasal yahī tosha ḳhāna-ḳharāb kā
zarā soch anjum-e-nā-tavāñ ye vafā kā zikr kahāñ kahāñ
sar-e-bazm kar na ise bayāñ ye sabaq hai sirf nisāb kā
baDi farz-ashna hai saba kare KHub kaam hisab ka
phir uDa ke le gai ek waraq meri zindagi ki kitab ka
kahun kya ki dasht-e-hayat mein raha silsila wo sarab ka
kabhi hausla hi na kar saki meri aankh dariya ke KHwab ka
na ata-e-duKHtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-saqi-e-mai-nafas
jo chaDhe to phir na utar sake ye nasha hai fan ki sharab ka
sar-e-rah mil ke bichhaD gae tha bas ek pal ka wo hadsa
mere sehn-e-dil mein muqim hai wahi ek lamha azab ka
mere sath sath safar mein hai mere ghar ki sari hamahami
sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phul gulab ka
do farishta dast-e-bala liye do chhalakte jam taka kiye
mere ham-rikab wo mauj-e-gul wahi sail-e-chashm-e-pur-ab ka
main agarche kar bhi chuka raqam idhar ek daftar-e-ranj-o-gham
magar intizar hai dam-ba-dam mujhe pahle KHat ke jawab ka
ye jo mere saghar-e-dil mein hai mai-e-fan hai KHun ki kashid hai
yahi ek umr ka ma-hasal yahi tosha KHana-KHarab ka
zara soch anjum-e-na-tawan ye wafa ka zikr kahan kahan
sar-e-bazm kar na ise bayan ye sabaq hai sirf nisab ka
- Book : libaas-e-zakhm (Pg. 44)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.