baDi gutthiyan hain baDe masale hain
baḌī gutthiyāñ haiñ baḌe mas.ale haiñ
kaheñ kis se ham kis qadar marhale haiñ
koī din kī bāteñ haiñ kuchh aur sāñseñ
bahut muḳhtasar ruuh ke silsile haiñ
gulistān hī zad meñ hai bijliyoñ kī
liye chaar tinke kidhar ham chale haiñ
kaḌī dhuup gum-gashta rāheñ be-manzil
shikasta-nazar hai buland hausle haiñ
baDi gutthiyan hain baDe masale hain
kahen kis se hum kis qadar marhale hain
koi din ki baaten hain kuchh aur sansen
bahut muKHtasar ruh ke silsile hain
gulistan hi zad mein hai bijliyon ki
liye chaar tinke kidhar hum chale hain
kaDi dhup gum-gashta rahen be-manzil
shikasta-nazar hai buland hausle hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.