baDi hairat hai wo zinda mila hai
baḌī hairat hai vo zinda milā hai
jise har moḌ par dhokā milā hai
talāsh-e-haq meñ maiñ niklā huuñ jab bhī
na.ī manzil nayā rastā milā hai
milā bhī kyā kisī ko tum se mil kar
bikhar jaane kā andesha milā hai
nahīñ pyāse ko qatra bhī mayassar
jo hai sairāb use dariyā milā hai
mire ghar DhūñDne vāloñ ko aksar
faqat ik TuuTā ā.īna milā hai
baDi hairat hai wo zinda mila hai
jise har moD par dhoka mila hai
talash-e-haq mein main nikla hun jab bhi
nai manzil naya rasta mila hai
mila bhi kya kisi ko tum se mil kar
bikhar jaane ka andesha mila hai
nahin pyase ko qatra bhi mayassar
jo hai sairab use dariya mila hai
mere ghar DhunDne walon ko aksar
faqat ek TuTa aaina mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.