badla hua hai rang jahan mai-kashi ke baad
badlā huā hai rañg jahāñ mai-kashī ke ba.ad
ḳhud se lagāv hone lagā be-ḳhudī ke ba.ad
tābinda mahfiloñ meñ mujhe yuuñ na rokiye
zulmat meñ lauTnā hai mujhe raushnī ke ba.ad
yā rab mujhe muhāl hai ranjīda zindagī
le le merī hayāt bhī merī ḳhushī ke ba.ad
is se sivā bhī ishq meñ kyā aur pā.iye
har ġham lage hai sahl ġham-e-āshiqī ke ba.ad
badla hua hai rang jahan mai-kashi ke baad
KHud se lagaw hone laga be-KHudi ke baad
tabinda mahfilon mein mujhe yun na rokiye
zulmat mein lauTna hai mujhe raushni ke baad
ya rab mujhe muhaal hai ranjida zindagi
le le meri hayat bhi meri KHushi ke baad
is se siwa bhi ishq mein kya aur paiye
har gham lage hai sahl gham-e-ashiqi ke baad
- Book : Saaya-e-gul (Pg. 130)
- Author : Aslam Kiratpuri
- Publication : Critive Group, Mumbai (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.