badle na agar maqsum sakhi
badle na agar maqsūm sakhī
phir jiinā hai mazmūm sakhī
mirā dil terī jāgīr huā
har samt yahāñ par ghuum sakhī
maiñ saat suroñ se raag banī
har lai hai mujhe mālūm sakhī
mire kaan ke parde chīrtā hai
mire andar ek hujūm sakhī
dhak dhak paslī meñ shor kare
tirā banjārā ma.asūm sakhī
badle na agar maqsum sakhi
phir jina hai mazmum sakhi
mera dil teri jagir hua
har samt yahan par ghum sakhi
main sat suron se rag bani
har lai hai mujhe malum sakhi
mere kan ke parde chirta hai
mere andar ek hujum sakhi
dhak dhak pasli mein shor kare
tera banjara masum sakhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.